wo wasl ki lazzat mein gum hai wo soz-e-judai kya jaane
vo vasl kī lazzat meñ gum hai vo soz-e-judā.ī kyā jaane
vo rog parāyā kyā samjhe vo priit parā.ī kyā jaane
parvāna-e-husn kā shaidā.ī paapī bhañvrā ras kā lobhī
chāhat ko saudā.ī samjhe us ko harjā.ī kyā jaane
mahfil meñ jise ma.alūm nahīñ ehsās kī karvaT kyā shai hai
vo dil kī suunī vaadī meñ ġham kī añgḌā.ī kyā jaane
ye ḳhāk-ālūd javāñ chehre gul jin kī qasmeñ khāte haiñ
jo ārā.ish par martā ho un kī ra.anā.ī kyā jaane
'ārif' apnā rāz-e-ulfat yuuñ hai jaise muñh-band kalī
ye bhed zamāna kyā samjhe ye raaz ḳhudā.ī kyā jaane
wo wasl ki lazzat mein gum hai wo soz-e-judai kya jaane
wo rog paraya kya samjhe wo prit parai kya jaane
parwana-e-husn ka shaidai papi bhanwra ras ka lobhi
chahat ko saudai samjhe us ko harjai kya jaane
mahfil mein jise malum nahin ehsas ki karwaT kya shai hai
wo dil ki suni wadi mein gham ki angDai kya jaane
ye KHak-alud jawan chehre gul jin ki qasmen khate hain
jo aaraish par marta ho un ki ranai kya jaane
'arif' apna raaz-e-ulfat yun hai jaise munh-band kali
ye bhed zamana kya samjhe ye raaz KHudai kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.