wo wusaten thin dil mein jo chaha bana liya
wo wusaten thin dil mein jo chaha bana liya
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
vo vus.ateñ thiiñ dil meñ jo chāhā banā liyā
sahrā banā liyā kabhī dariyā banā liyā
yuuñ rashk kī nigāh se kis kis ko dekhte
har aarzū ko apnī tamannā banā liyā
kab tak jahāñ se dard kī daulat sameTte
ḳhud apne dil ko ġham kā ḳhazīna banā liyā
duniyā kī koftoñ ko gavārā na kar sake
uqbā ko zindagī kā sahārā banā liyā
thī kā.enāt-e-husn kī saada sī ik jhalak
ham ne nigāh-e-shauq se kyā kyā banā liyā
is dil ko ham ne terī nigāhoñ ke saath saath
begāna kar liyā kabhī apnā banā liyā
wo wusaten thin dil mein jo chaha bana liya
sahra bana liya kabhi dariya bana liya
yun rashk ki nigah se kis kis ko dekhte
har aarzu ko apni tamanna bana liya
kab tak jahan se dard ki daulat sameTte
KHud apne dil ko gham ka KHazina bana liya
duniya ki kofton ko gawara na kar sake
uqba ko zindagi ka sahaara bana liya
thi kaenat-e-husn ki sada si ek jhalak
hum ne nigah-e-shauq se kya kya bana liya
is dil ko hum ne teri nigahon ke sath sath
begana kar liya kabhi apna bana liya
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 236)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.