wo yaqin phir kisi chehre pe nazar aaega
vo yaqīñ phir kisī chehre pe nazar aa.egā
jo mire ḳhvāb kī ta.abīr sunā jā.egā
jhiil sī āñkhoñ meñ khil jaa.eñ umīdoñ ke kañval
jin se ye mehr-e-jahāñ-tāb bhī sharmā.egā
phir likhī jā.egī in chāñd se chehroñ kī kitāb
vaqt safhāt palaTtā huā rah jā.egā
dard kī shab hai guzar jā.egī pal-do-pal meñ
ik sitāra sar-e-mizhgāñ jo Thahar jā.egā
qahr dhāte haiñ mirī zaat pe sarkash lamhe
gar mudāvā na kiyā hausla pachhtā.egā
zer-e-ḳhanjar bhī mujhe yaad rahegā vo shaḳhs
jo mirī laash ko apnā adū Thahrā.egā
shāyad is baat kā ilzām mujhī par aa.e
gar kabhī koī mo.arriḳh ise dohrā.egā
wo yaqin phir kisi chehre pe nazar aaega
jo mere KHwab ki tabir suna jaega
jhil si aankhon mein khil jaen umidon ke kanwal
jin se ye mehr-e-jahan-tab bhi sharmaega
phir likhi jaegi in chand se chehron ki kitab
waqt safhat palaTta hua rah jaega
dard ki shab hai guzar jaegi pal-do-pal mein
ek sitara sar-e-mizhgan jo Thahar jaega
qahr dhate hain meri zat pe sarkash lamhe
gar mudawa na kiya hausla pachhtaega
zer-e-KHanjar bhi mujhe yaad rahega wo shaKHs
jo meri lash ko apna adu Thahraega
shayad is baat ka ilzam mujhi par aae
gar kabhi koi moarriKH ise dohraega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.