wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga
vo yuuñ milā ki ba-zāhir ḳhafā ḳhafā sā lagā
na jaane kyuuñ vo mujhe phir bhī bā-vafā sā lagā
mizāj us ne na pūchhā magar salām liyā
ye be-ruḳhī kā salīqa bhī kuchh bhalā sā lagā
ġhubār-e-vaqt ne kuchh yuuñ badal diye chehre
ḳhud apnā shahr bhī mujh ko nayā nayā sā lagā
ghuTī ghuTī sī lagī raat anjuman kī fazā
charāġh jo bhī jalā kuchh bujhā bujhā sā lagā
jo ham pe guzrī hai shāyad sabhī pe guzrī ho
fasāna jo bhī sunā kuchh sunā sunā sā lagā
majāl-e-arz-e-tamannā kare koī kaise
jo lafz hoñToñ pe aayā Darā Darā sā lagā
maiñ ghar se chal ke akelā yahāñ tak aayā huuñ
jo ham-safar bhī milā kuchh thakā thakā sā lagā
isī kā naam hai shā.istagī o pās-e-vafā
palak tak aa ke jo aañsū thamā thamā sā lagā
kuchh is ḳhulūs se us ne kahā mujhe 'iqbāl'
ḳhud apnā naam bhī mujh ko baḌā baḌā sā lagā
wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga
na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga
mizaj us ne na puchha magar salam liya
ye be-ruKHi ka saliqa bhi kuchh bhala sa laga
ghubar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre
KHud apna shahr bhi mujh ko naya naya sa laga
ghuTi ghuTi si lagi raat anjuman ki faza
charagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga
jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho
fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga
majal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise
jo lafz honTon pe aaya Dara Dara sa laga
main ghar se chal ke akela yahan tak aaya hun
jo ham-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga
isi ka nam hai shaistagi o pas-e-wafa
palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga
kuchh is KHulus se us ne kaha mujhe 'iqbaal'
KHud apna nam bhi mujh ko baDa baDa sa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.