Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zaban apni kholta hi nahin

V. C. Rai Naya

wo zaban apni kholta hi nahin

V. C. Rai Naya

MORE BYV. C. Rai Naya

    vo zabāñ apnī kholtā nahīñ

    ye nahīñ hai ki boltā nahīñ

    har adā us kuchh to hai kahtī

    magar aañkh kholtā nahīñ

    jitnā tum doge utnā pāoge

    kam ziyāda vo toltā nahīñ

    vo chaman bahār kyā jaane

    jo darīchoñ ko kholtā nahīñ

    band āñkheñ tarāzū haath meñ hai

    vo magar kuchh bhī toltā nahīñ

    jab yudhishthir bhī sach pe Tik na sake

    aa.ina sach se Doltā nahīñ

    kyuuñ na ho kaḌvī terī baat 'nayā'

    jhuuT is meñ gholtā nahīñ

    wo zaban apni kholta hi nahin

    ye nahin hai ki bolta hi nahin

    har ada us ki kuchh to hai kahti

    tu magar aankh kholta hi nahin

    jitna tum doge utna paoge

    kam ziyaada wo tolta hi nahin

    wo chaman ki bahaar kya jaane

    jo darichon ko kholta hi nahin

    band aankhen taraazu hath mein hai

    wo magar kuchh bhi tolta hi nahin

    jab yudhishthir bhi sach pe Tik na sake

    aaina sach se Dolta hi nahin

    kyun na ho kaDwi teri baat 'naya'

    jhuT tu is mein gholta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now