Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se

Siraj Lakhnavi

wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    vo zakāt-e-daulat-e-sabr bhī mire chand ashkoñ ke naam se

    vo nazar-guzar sharāb thī jo chhalak ga.ī mire jaam se

    mirī chashm-e-shauq meñ kaif-e-dil jo bharā thā ḳhuun ke naam se

    vahī sho.ala ban ke bhaḌak uThā vahī phuuT niklā hai jaam se

    koī raat āñkhoñ meñ kaaT koī taare gin ke guzār

    yahī marte marte havas rahī maiñ kabhī to so rahūñ shaam se

    baḌī dil-fareb hai dāstāñ tirā zikr aur mirā bayāñ

    vo dahan dahan vo zabāñ zabāñ jo hai āshnā tire naam se

    mujhe kyā zarūrat-e-chāra-gar isī ik davā meñ haiñ do asar

    kabhī mar-miTā tire naam par kabhī uThā tire naam se

    mujhe vaa.iz apnī lagī hai dhun koī phuul ātish-e-tar chun

    mire dard-e-dil hadīs sun kabhī chheḌ kar lab-e-jām se

    jo azal meñ thā vahī nuur hai ki charāġh-e-mahfil-e-tūr hai

    koī rahne vaalā zarūr hai mire dil meñ dard ke naam se

    jo taḌap thī kal vahī aaj hai yahī mire dil ilaaj hai

    mirī zindagī bhī 'sirāj' hai isī iztirāb-e-davām se

    wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se

    wo nazar-guzar ki sharab thi jo chhalak gai mere jam se

    meri chashm-e-shauq mein kaif-e-dil jo bhara tha KHun ke nam se

    wahi shoala ban ke bhaDak uTha wahi phuT nikla hai jam se

    koi raat aankhon mein kaT li koi tare gin ke guzar di

    yahi marte marte hawas rahi main kabhi to so rahun sham se

    baDi dil-fareb hai dastan tera zikr aur mera bayan

    wo dahan dahan wo zaban zaban jo hai aashna tere nam se

    mujhe kya zarurat-e-chaara-gar isi ek dawa mein hain do asar

    kabhi mar-miTa tere nam par kabhi ji uTha tere nam se

    mujhe waiz apni lagi hai dhun koi phul aatish-e-tar ka chun

    mere dard-e-dil ki hadis sun kabhi chheD kar lab-e-jam se

    jo azal mein tha wahi nur hai ki charagh-e-mahfil-e-tur hai

    koi rahne wala zarur hai mere dil mein dard ke nam se

    jo taDap thi kal wahi aaj hai yahi mere dil ka ilaj hai

    meri zindagi bhi 'siraj' hai isi iztirab-e-dawam se

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now