wo zamana na sahi itna to de sakta tha
wo zamana na sahi itna to de sakta tha
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
vo zamānā na sahī itnā to de saktā thā
mujh ko ik dost mire jaisā to de saktā thā
dene vaale kā irāda na thā kuchh dene kā
varna dariyā na sahī qatra to de saktā thā
kyoñ nahīñ aane diyā bazm meñ us gūñge ko
vo hameñ lafz nahīñ lahja to de saktā thā
kaise afsos na ho laash na mil paane kā
maiñ use saañs nahīñ kāñdhā to de saktā thā
vo nahīñ chāhtā thā yādoñ se bechain rahūñ
varna jaate hue ik bosa to de saktā thā
wo zamana na sahi itna to de sakta tha
mujh ko ek dost mere jaisa to de sakta tha
dene wale ka irada na tha kuchh dene ka
warna dariya na sahi qatra to de sakta tha
kyon nahin aane diya bazm mein us gunge ko
wo hamein lafz nahin lahja to de sakta tha
kaise afsos na ho lash na mil pane ka
main use sans nahin kandha to de sakta tha
wo nahin chahta tha yaadon se bechain rahun
warna jate hue ek bosa to de sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.