wo zamin par na aasman mein tha
vo zamīñ par na āsmān meñ thā
aag paanī ke darmiyān meñ thā
jism-o-jāñ meñ ajab raqābat thī
ishq be-chāra imtihān meñ thā
sar-ba-kaf maiñ bhī thā sar-e-maqtal
tiir vo bhī liye kamān meñ thā
sāmne barf kī nadī thī magar
band āñkheñ kiye vo dhyān meñ thā
par sameTe hue jo baiThā hai
vo parinda kabhī uḌaan meñ thā
āgahī ruuh tak jalā degī
dostoñ ye kahāñ gumān meñ thā
vaqt ne ham se vo bhī chhīn liyā
ik sahārā jo ḳhāndān meñ thā
dar-pa-e-qatl hai jo aaj 'niyāz'
ye ilāqa mirī kamān meñ thā
wo zamin par na aasman mein tha
aag pani ke darmiyan mein tha
jism-o-jaan mein ajab raqabat thi
ishq be-chaara imtihan mein tha
sar-ba-kaf main bhi tha sar-e-maqtal
tir wo bhi liye kaman mein tha
samne barf ki nadi thi magar
band aankhen kiye wo dhyan mein tha
par sameTe hue jo baiTha hai
wo parinda kabhi uDan mein tha
aagahi ruh tak jala degi
doston ye kahan guman mein tha
waqt ne hum se wo bhi chhin liya
ek sahaara jo KHandan mein tha
dar-pa-e-qatl hai jo aaj 'niyaz'
ye ilaqa meri kaman mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.