wo zara intizar kar leta
vo zarā intizār kar letā
maiñ ḳhizāñ ko bahār kar letā
ham na tum ko bhulā sake varna
ham se bhī koī pyaar kar letā
diip rakh kar muñDer par dil kī
zindagī ko mazār kar letā
kuchh bhī to hausla na thā us meñ
jitne dariyā the paar kar letā
kaash maiñ us ke aaj se 'ash.ar'
apnā kal yādgār kar letā
wo zara intizar kar leta
main KHizan ko bahaar kar leta
hum na tum ko bhula sake warna
hum se bhi koi pyar kar leta
dip rakh kar munDer par dil ki
zindagi ko mazar kar leta
kuchh bhi to hausla na tha us mein
jitne dariya the par kar leta
kash main us ke aaj se 'ashar'
apna kal yaadgar kar leta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.