wo zarra jis mein ek aalam nihan tha
Interesting Fact
Gulzar Dehlvi ke liye ek ghazal
vo zarra jis meñ ik aalam nihāñ thā
adab kā ek bahr-e-be-karāñ thā
vo nabz-e-vaqt ko pahchāntā thā
vo rahbar thā vo mīr-e-kārvāñ thā
use aatā thā lafzoñ kā baratnā
zabāñ rakhtā thā vo ahl-e-zabāñ thā
uḳhuvvat kā thā vo parcham uThā.e
na apnī fikr na ḳhauf-e-jahāñ thā
chaTāñ kā azm dhāre kī ravānī
jhukā qadmoñ pe us ke āsmāñ thā
jo sab chup-chāp sah lete haiñ sadme
vo in sab be-zabānoñ kī zabāñ thā
vatan us kī rag-o-jāñ meñ basā thā
vo dil-dillī kā ḳhud hindostāñ thā
use DhūñDegā ab 'rāġhib' zamāna
ki us jaisā zamāne meñ kahāñ thā
wo zarra jis mein ek aalam nihan tha
adab ka ek bahr-e-be-karan tha
wo nabz-e-waqt ko pahchanta tha
wo rahbar tha wo mir-e-karwan tha
use aata tha lafzon ka baratna
zaban rakhta tha wo ahl-e-zaban tha
uKHuwwat ka tha wo parcham uThae
na apni fikr na KHauf-e-jahan tha
chaTan ka azm dhaare ki rawani
jhuka qadmon pe us ke aasman tha
jo sab chup-chap sah lete hain sadme
wo in sab be-zabanon ki zaban tha
watan us ki rag-o-jaan mein basa tha
wo dil-dilli ka KHud hindostan tha
use DhunDega ab 'raghib' zamana
ki us jaisa zamane mein kahan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.