wo zeb-e-shabistan hua chahta hai
vo zeb-e-shabistāñ huā chāhtā hai
ye majma.a pareshāñ huā chāhtā hai
burī ho ga.ī shohrat-e-kū-e-jānāñ
koī ḳhāna-vīrāñ huā chāhtā hai
tire ġham ne sab kaam āsāñ kiye haiñ
ki marnā bhī āsāñ huā chāhtā hai
chale aate haiñ sair karte hue vo
gulistāñ gulistāñ huā chāhtā hai
na dekhā karo tum ki ab aa.ina bhī
mirī chashm-e-hairāñ huā chāhtā hai
nikālā hai ye rañg 'hālī' ne 'sālik'
ki har sher dīvāñ huā chāhtā hai
wo zeb-e-shabistan hua chahta hai
ye majma pareshan hua chahta hai
buri ho gai shohrat-e-ku-e-jaanan
koi KHana-viran hua chahta hai
tere gham ne sab kaam aasan kiye hain
ki marna bhi aasan hua chahta hai
chale aate hain sair karte hue wo
gulistan gulistan hua chahta hai
na dekha karo tum ki ab aaina bhi
meri chashm-e-hairan hua chahta hai
nikala hai ye rang 'haali' ne 'salik'
ki har sher diwan hua chahta hai
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 195)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.