wo zist jo lazzat-kash-e-alam rahi hai
vo ziist jo lazzat-kash-e-ālām rahī hai
vo ziist tire naam se mansūb huī hai
kyoñ hijr kī shab mahkī tire qurb kī ḳhushbū
kyā koī kalī yaad ke gulshan meñ khilī hai
ai guzre hue lamho koī naqsh ubhāro
ā.īna-e-taḳhyīl pe ab gard jamī hai
ik ham haiñ ki ḳhāk-e-rah-e-jānāñ meñ abhī tak
ik vo haiñ ki un kī vahī begāna-ravī hai
ai gardish-e-ayyām koī zaḳhm nayā aur
ik moḌ pe ab ‘umr-e-ravāñ Thahr ga.ī hai
rūdād-e-ġham-e-dil maiñ sunā.ūñ tujhe kyūñkar
maiñ dekh rahā huuñ tirī āñkhoñ meñ namī hai
ab guzre hue vaqt kā kuchh zikr na chheḌo
mushkil se tabī'at mirī qaabū meñ huī hai
muddat se kisī dard kā tohfa nahīñ aaya
yā gardish-e-ayyām hameñ bhuul ga.ī hai
ai bād-e-sahar aaj to chup-chāp guzar jā
hone de zarā der abhī aañkh lagī hai
mai laao ġhazal gaao qarīb aao shab-e-māh
sharminda nigāhoñ se hameñ dekh rahī hai
mat pūchh ki kyā ham pe guzartī hai tire baa'd
baiThe haiñ jahāñ sub.h vahīñ shaam huī hai
hai avval-e-shab bazm meñ rang āḳhir-e-shab kā
kyā sham' koī vaqt se pahle hī bujhī hai
wo zist jo lazzat-kash-e-alam rahi hai
wo zist tere nam se mansub hui hai
kyon hijr ki shab mahki tere qurb ki KHushbu
kya koi kali yaad ke gulshan mein khili hai
ai guzre hue lamho koi naqsh ubhaaro
aaina-e-taKHyil pe ab gard jami hai
ek hum hain ki KHak-e-rah-e-jaanan mein abhi tak
ek wo hain ki un ki wahi begana-rawi hai
ai gardish-e-ayyam koi zaKHm naya aur
ek moD pe ab ‘umr-e-rawan Thahr gai hai
rudad-e-gham-e-dil main sunaun tujhe kyunkar
main dekh raha hun teri aankhon mein nami hai
ab guzre hue waqt ka kuchh zikr na chheDo
mushkil se tabi'at meri qabu mein hui hai
muddat se kisi dard ka tohfa nahin aaya
ya gardish-e-ayyam hamein bhul gai hai
ai baad-e-sahar aaj to chup-chap guzar ja
hone de zara der abhi aankh lagi hai
mai lao ghazal gao qarib aao shab-e-mah
sharminda nigahon se hamein dekh rahi hai
mat puchh ki kya hum pe guzarti hai tere ba'd
baiThe hain jahan subh wahin sham hui hai
hai awwal-e-shab bazm mein rang aaKHir-e-shab ka
kya sham' koi waqt se pahle hi bujhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.