wo zindagi jo tere pyar mein basar na hui
vo zindagī jo tire pyaar meñ basar na huī
thī aisī raat ki jis kī kabhī sahar na huī
unhī kī chaah meñ ye haal ho gayā merā
magar unhī ko mire haal kī ḳhabar na huī
sulagtī rāhoñ pe saaya thā kis kī palkoñ kā
ye kaun kahtā hai is samt vo nazar na huī
har ek moḌ pe dil ne tujhe talāsh kiyā
kisī bhī lamhe tamannā ye muntashar na huī
'ḳhalish' ye pūchhtā phirtā hai ābshāroñ se
ki kyoñ ye vādī-e-gul terī rahguzar na huī
wo zindagi jo tere pyar mein basar na hui
thi aisi raat ki jis ki kabhi sahar na hui
unhi ki chah mein ye haal ho gaya mera
magar unhi ko mere haal ki KHabar na hui
sulagti rahon pe saya tha kis ki palkon ka
ye kaun kahta hai is samt wo nazar na hui
har ek moD pe dil ne tujhe talash kiya
kisi bhi lamhe tamanna ye muntashar na hui
'KHalish' ye puchhta phirta hai aabshaaron se
ki kyon ye wadi-e-gul teri rahguzar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.