wo zindagi mere nazdik zindagi na hui
vo zindagī mire nazdīk zindagī na huī
tamām umr mayassar jise ḳhushī na huī
havas-parast nigāhoñ ne chashm-e-sāqī se
hazār jaam piye duur tishnagī na huī
dikhā.e ahl-e-siyāsat ne sabz baaġh magar
ḳhizāñ nasīb bahāroñ meñ tāzgī na huī
havā ke ruḳh ko jo pahchānñe se qāsir ho
mire ḳhayāl meñ vo chashm-e-āgahī na huī
zamāna laakh muḳhālif rahā ba-faiz-e-talab
hamāre zauq-e-tajassus meñ kuchh kamī na huī
adū se tū ne ta.āvun to kar liyā lekin
kabhī junūñ se ḳhirad terī dostī na huī
jo bāñTtā thā zamāne ko raushnī kal tak
usī ke ghar meñ 'sahar' aaj raushnī na huī
wo zindagi mere nazdik zindagi na hui
tamam umr mayassar jise KHushi na hui
hawas-parast nigahon ne chashm-e-saqi se
hazar jam piye dur tishnagi na hui
dikhae ahl-e-siyasat ne sabz bagh magar
KHizan nasib bahaaron mein tazgi na hui
hawa ke ruKH ko jo pahchanne se qasir ho
mere KHayal mein wo chashm-e-agahi na hui
zamana lakh muKHalif raha ba-faiz-e-talab
hamare zauq-e-tajassus mein kuchh kami na hui
adu se tu ne taawun to kar liya lekin
kabhi junun se KHirad teri dosti na hui
jo banTta tha zamane ko raushni kal tak
usi ke ghar mein 'sahar' aaj raushni na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.