wo zulf apni uDa raha tha
vo zulf apnī uḌā rahā thā
ghaTā ko shāyad chiḌhā rahā thā
jahāñ ye ham ko samajh na aayā
jo thā nahīñ vo dikhā rahā thā
jahāñ meñ sab thā maiñ hī alag thā
miTā huā maiñ miTā rahā thā
ġhalat hai kuchh to sahī hai kyā kuchh
havā meñ bāteñ uḌā rahā thā
hayāt ko kyoñ samajh rahā thā
thī baat chhoTī baḌhā rahā thā
'ajab thā pāgal ye man mirā bhī
jo gum thā us se Darā rahā thā
amaañ kā sachchā thā aa.ina bhī
jo dikh rahā thā dikhā rahā thā
ġhazab jiyālā thā baap vo bhī
jo ḳhud kī hasrat miTā rahā thā
wo zulf apni uDa raha tha
ghaTa ko shayad chiDha raha tha
jahan ye hum ko samajh na aaya
jo tha nahin wo dikha raha tha
jahan mein sab tha main hi alag tha
miTa hua main miTa raha tha
ghalat hai kuchh to sahi hai kya kuchh
hawa mein baaten uDa raha tha
hayat ko kyon samajh raha tha
thi baat chhoTi baDha raha tha
'ajab tha pagal ye man mera bhi
jo gum tha us se Dara raha tha
aman ka sachcha tha aaina bhi
jo dikh raha tha dikha raha tha
ghazab jiyala tha bap wo bhi
jo KHud ki hasrat miTa raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.