wo zulm-o-sitam Dhae aur mujhse wafa mange
vo zulm-o-sitam Dhaa.e aur mujh se vafā māñge
jaise koī gul kar ke dīpak se ziyā māñge
jiinā baḌī ne.amat hai jiine kā chalan sīkheñ
achchhā to nahīñ koī marne kī duā māñge
ġham bhī hai udāsī bhī tanhā.ī bhī aañsū bhī
sab kuchh to mayassar hai dil māñge to kyā māñge
ā.īn-e-vatan par to dil vaar chuke apnā
nāmūs-e-vatan ham se ab rañg-e-hinā māñge
auqāt hai kyā us kī vo pesh-e-nazar rakkhe
insāñ na koī apne dāman se sivā māñge
ramtā huā jogī huuñ bahtā huā paanī huuñ
hargiz na koī mujh se ab merā patā māñge
phir chehra-e-qātil kī nazroñ ko zarūrat hai
phir kūcha-e-qātil kī dil āb-o-havā māñge
vo sair-e-gulistāñ ko 'firdaus' jo aa jaa.e
muskān kalī chāhe raftār-e-sabā māñge
wo zulm-o-sitam Dhae aur mujh se wafa mange
jaise koi gul kar ke dipak se ziya mange
jina baDi neamat hai jine ka chalan sikhen
achchha to nahin koi marne ki dua mange
gham bhi hai udasi bhi tanhai bhi aansu bhi
sab kuchh to mayassar hai dil mange to kya mange
aain-e-watan par to dil war chuke apna
namus-e-watan hum se ab rang-e-hina mange
auqat hai kya us ki wo pesh-e-nazar rakkhe
insan na koi apne daman se siwa mange
ramta hua jogi hun bahta hua pani hun
hargiz na koi mujh se ab mera pata mange
phir chehra-e-qatil ki nazron ko zarurat hai
phir kucha-e-qatil ki dil aab-o-hawa mange
wo sair-e-gulistan ko 'firdaus' jo aa jae
muskan kali chahe raftar-e-saba mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.