wo zulmat-e-shab ka ghalba hai wo yas ke baadal chhae hain
wo zulmat-e-shab ka ghalba hai wo yas ke baadal chhae hain
Kamal Salarpuri
MORE BYKamal Salarpuri
vo zulmat-e-shab kā ġhalba hai vo yaas ke bādal chhā.e haiñ
ab sub.h bhī sub.h-e-ummīd nahīñ use gardish-e-daurāñ kyā hogā
dīvār-e-chaman pur-zāġh-o-zaġhan masrūf haiñ naġhma-ḳhvānī meñ
har shāḳh par ullū baiThā hai anjām-e-gulistāñ kyā hogā
aġhrāz baḌhīñ aḳhlāq miTe guftār rahī kirdār ga.e
is par bhī kahīñ Thahrāv nahīñ ai qismat-e-insāñ kyā hogā
pāband-e-salāsil nekī hai hāsil hai badī ko āzādī
ye shakl gar ta.amīr kī hai taḳhrīb kā unvāñ kyā hogā
kyuuñ ziist kā bahr-e-be-pāyāñ mahrūm hai ab ik mauj se bhī
sadiyoñ se sukūt ik taarī hai ai satvat-e-tūfāñ kyā hogā
arbāb-e-havas kā jamghaT hai is bazm meñ koī riñd nahīñ
ai jām-e-zar-afshāñ kyā hogā ai sāqī-e-daurāñ kyā hogā
is des meñ jo bhī rahzan the vo rahbar-e-millat kahlā.e
har chor nigahbāñ Thahrā hai ai qudrat-e-yazdāñ kyā hogā
wo zulmat-e-shab ka ghalba hai wo yas ke baadal chhae hain
ab subh bhi subh-e-ummid nahin use gardish-e-dauran kya hoga
diwar-e-chaman pur-zagh-o-zaghan masruf hain naghma-KHwani mein
har shaKH par ullu baiTha hai anjam-e-gulistan kya hoga
aghraaz baDhin aKHlaq miTe guftar rahi kirdar gae
is par bhi kahin Thahraw nahin ai qismat-e-insan kya hoga
paband-e-salasil neki hai hasil hai badi ko aazadi
ye shakl gar tamir ki hai taKHrib ka unwan kya hoga
kyun zist ka bahr-e-be-payan mahrum hai ab ek mauj se bhi
sadiyon se sukut ek tari hai ai satwat-e-tufan kya hoga
arbab-e-hawas ka jamghaT hai is bazm mein koi rind nahin
ai jam-e-zar-afshan kya hoga ai saqi-e-dauran kya hoga
is des mein jo bhi rahzan the wo rahbar-e-millat kahlae
har chor nigahban Thahra hai ai qudrat-e-yazdan kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.