wufur-e-shauq mein jab bhi kalam karte hain
vufūr-e-shauq meñ jab bhī kalām karte haiñ
to harf harf ko husn-e-tamām karte haiñ
ghane daraḳhtoñ ke saa.e kī 'umr lambī ho
ki in ke nīche musāfir qayām karte haiñ
use pasand nahīñ ḳhvāb kā havāla bhī
to ham bhī aañkh pe nīñdeñ harām karte haiñ
na ḳhushbuoñ ko pata hai na rang jānte haiñ
parind phūloñ se kaise kalām karte haiñ
ravāñ-davāñ haiñ havā par savāriyāñ kaisī
jinheñ daraḳht bhī jhuk kar salām karte haiñ
chaman meñ jab se use sair karte dekh liyā
usī adā se ġhazālāñ ḳhirām karte haiñ
ab is ko yaad na hogā hamārā chehra bhī
tamām shā.erī ham jis ke naam karte haiñ
wufur-e-shauq mein jab bhi kalam karte hain
to harf harf ko husn-e-tamam karte hain
ghane daraKHton ke sae ki 'umr lambi ho
ki in ke niche musafir qayam karte hain
use pasand nahin KHwab ka hawala bhi
to hum bhi aankh pe ninden haram karte hain
na KHushbuon ko pata hai na rang jaante hain
parind phulon se kaise kalam karte hain
rawan-dawan hain hawa par sawariyan kaisi
jinhen daraKHt bhi jhuk kar salam karte hain
chaman mein jab se use sair karte dekh liya
usi ada se ghazalan KHiram karte hain
ab is ko yaad na hoga hamara chehra bhi
tamam shaeri hum jis ke nam karte hain
- Book : Sukhan Aabaad (Pg. 5)
- Author : Manzoor Hashmi
- Publication : Manzoor Hashmi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.