wufur-e-shauq se milna rawa-rawi se nahin
vufūr-e-shauq se milnā ravā-ravī se nahīñ
ki dil ko dil se mohabbat hai dil-lagī se nahīñ
tumhāre baad mohabbat jatā.ī sab se magar
tumhāre baad mohabbat huī kisī se nahīñ
sarisht-e-ḳhāk meñ nisyān bhī vadī.at hai
maiñ bhuul saktā huuñ tujh ko magar ḳhushī se nahīñ
hai mujh ko halqa-e-chāra-garāñ se nisbat bhī
ki merī shahr meñ tauqīr shā.erī se nahīñ
kahīñ thame bhī koī dam ye raḳhsh-e-umr-e-ravāñ
maiñ bas thakan se pareshāñ huuñ zindagī se nahīñ
wufur-e-shauq se milna rawa-rawi se nahin
ki dil ko dil se mohabbat hai dil-lagi se nahin
tumhaare baad mohabbat jatai sab se magar
tumhaare baad mohabbat hui kisi se nahin
sarisht-e-KHak mein nisyan bhi wadiat hai
main bhul sakta hun tujh ko magar KHushi se nahin
hai mujh ko halqa-e-chaara-garan se nisbat bhi
ki meri shahr mein tauqir shaeri se nahin
kahin thame bhi koi dam ye raKHsh-e-umr-e-rawan
main bas thakan se pareshan hun zindagi se nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.