wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha
vus.at-e-chashm ko andoh-e-basārat likhkhā
maiñ ne ik vasl ko ik hijr kī hālat likhkhā
maiñ ne parvāz likhī hadd-e-falak se aage
aur be-bāl-o-parī ko bhī nihāyat likhkhā
maiñ ne ḳhushbū ko likhā dastaras-e-gum-shudagī
rañg ko fāsla rakhne kī ri.āyat likkhā
husn-e-goyā.ī ko likhnā thā likhī sargoshī
shor likhnā thā so āzār-e-samā.at likhkhā
maiñ ne ta.abīr ko tahrīr meñ aane na diyā
ḳhvāb likhte hue mohtāj-e-bashārat likhkhā
koī āsān rifāqat nahīñ likkhī maiñ ne
qurb ko jab bhī likhā jazb-e-raqābat likhkhā
itne daaoñ se guzar kar ye ḳhayāl aatā hai
'azm' kyā tum ne kabhī harf-e-nadāmat likhkhā
wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha
main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha
main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage
aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha
main ne KHushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi
rang ko fasla rakhne ki riayat likkha
husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha
main ne tabir ko tahrir mein aane na diya
KHwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha
koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha
itne daon se guzar kar ye KHayal aata hai
'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.