Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wusat-e-daman-e-dil ko gham tumhaara mil gaya

Salik Lakhnavi

wusat-e-daman-e-dil ko gham tumhaara mil gaya

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    vus.at-e-dāmān-e-dil ko ġham tumhārā mil gayā

    zindagī ko zindagī bhar sahārā mil gayā

    har dil-e-dard-āshnā meñ dil hamārā mil gayā

    paara paara ho chukā thā paarā paarā mil gayā

    ham ki maiḳhāne ke vāris the haiñ ab tak tishna-lab

    chand kam-zarfoñ ko sahbā ijārā mil gayā

    jis ne ḳhālī jaam paTkā us mujāhid ko salām

    mai-kade meñ aaj pyāsoñ ko ishārā mil gayā

    nā-ḳhudā ye donoñ sāhil ek dariyā ke haiñ

    ye kināra mil gayā vo kinārā mil gayā

    ham ne apne qāfile meñ us ko shāmil kar liyā

    jo thakā-hārā milā jo ġham maarā mil gayā

    phir koī iisā farāz-e-dār zīnat banā

    phir kisī tārīk shab ko ik sitārā mil gayā

    wusat-e-daman-e-dil ko gham tumhaara mil gaya

    zindagi ko zindagi bhar ka sahaara mil gaya

    har dil-e-dard-ashna mein dil hamara mil gaya

    para para ho chuka tha para para mil gaya

    hum ki maiKHane ke waris the hain ab tak tishna-lab

    chand kam-zarfon ko sahba ka ijara mil gaya

    jis ne KHali jam paTka us mujahid ko salam

    mai-kade mein aaj pyason ko ishaara mil gaya

    na-KHuda ye donon sahil ek hi dariya ke hain

    ye kinara mil gaya ya wo kinara mil gaya

    hum ne apne qafile mein us ko shamil kar liya

    jo thaka-haara mila jo gham ka mara mil gaya

    phir koi isa faraaz-e-dar ki zinat bana

    phir kisi tarik shab ko ek sitara mil gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now