be-karan wusaton mein tanha hun
be-karāñ vus.atoñ meñ tanhā huuñ
ḳhaak par sūrateñ banātā huuñ
bazm meñ sū-e-ittifāq ki maiñ
us ke jaane ke baad aatā huuñ
pyaas hai merī zindagī kā patā
maiñ bhī ai rahguzār dariyā huuñ
aur kuchh pal mujhe gavāra kar
Dūbtī shaam kā tamāsha huuñ
mere sūraj tujhe ḳhabar bhī nahīñ
maiñ tirī aas meñ hī zinda huuñ
ek daftar hai merī ḳhāmoshī
jaane kyā kyā sunāne aayā huuñ
mere imkān meñ hai us kā yaqīñ
jis ke hone kā isti.āra huuñ
be-karan wusaton mein tanha hun
KHak par suraten banata hun
bazm mein su-e-ittifaq ki main
us ke jaane ke baad aata hun
pyas hai meri zindagi ka pata
main bhi ai rahguzar dariya hun
aur kuchh pal mujhe gawara kar
Dubti sham ka tamasha hun
mere suraj tujhe KHabar bhi nahin
main teri aas mein hi zinda hun
ek daftar hai meri KHamoshi
jaane kya kya sunane aaya hun
mere imkan mein hai us ka yaqin
jis ke hone ka istiara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.