wusat-e-shauq se ek shama jalai na gai
vus.at-e-shauq se ik sham.a jalā.ī na ga.ī
vo bhī kyā baat thī jo ham se banā.ī na ga.ī
gar muḳhālif the mire lafz tire har ḳhat ke
ham se par ḳhat meñ tire aag lagā.ī na ga.ī
Dor auroñ kī hathelī meñ rakhī hai ham ne
zindagī terī patañg ham se uḌaa.ī na ga.ī
tum ga.e raunaq-e-duniyā bhī ga.ī saath tire
ham se phir bazm-e-mohabbat bhī sajā.ī na ga.ī
do pahar saath rahī chhoḌ diyā phir tanhā
vo to ḳhushbū thī ki vāpas bhī bulā.ī na ga.ī
narm āġhosh shafaq hoñT gulābī chehrā
ham se ye irs-e-javānī bhī bulā.ī na ga.ī
us ne chehre pe ka.ī chehre lagā.e 'rāsiḳh'
us se par dil kī kahānī to chhupā.ī na ga.ī
wusat-e-shauq se ek shama jalai na gai
wo bhi kya baat thi jo hum se banai na gai
gar muKHalif the mere lafz tere har KHat ke
hum se par KHat mein tere aag lagai na gai
Dor auron ki hatheli mein rakhi hai hum ne
zindagi teri patang hum se uDai na gai
tum gae raunaq-e-duniya bhi gai sath tere
hum se phir bazm-e-mohabbat bhi sajai na gai
do pahar sath rahi chhoD diya phir tanha
wo to KHushbu thi ki wapas bhi bulai na gai
narm aaghosh shafaq honT gulabi chehra
hum se ye irs-e-jawani bhi bulai na gai
us ne chehre pe kai chehre lagae 'rasiKH'
us se par dil ki kahani to chhupai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.