wusat hai tere zehn mein to taj-mahal rakh
vus.at hai tire zehn meñ to tāj-mahal rakh
ye tāj-mahal merā hai le merī ġhazal rakh
ye qaul buzurgoñ kā hai mat hans ke ise Taal
bachchoñ kī rakābī meñ sadā pyaar kā phal rakh
aatā hai har ik saal tire gaañv meñ sailāb
palkoñ pe mire yaar na sapnoñ kā mahal rakh
Thokar se bachānā hai agar apnī anā ko
dil meñ na sahī apne laboñ par tū kañval rakh
mat dekh 'alīm' ahal-e-adāvat kī safoñ ko
laḌnā hai to phir apne irāde ko aTal rakh
wusat hai tere zehn mein to taj-mahal rakh
ye taj-mahal mera hai le meri ghazal rakh
ye qaul buzurgon ka hai mat hans ke ise Tal
bachchon ki rakabi mein sada pyar ka phal rakh
aata hai har ek sal tere ganw mein sailab
palkon pe mere yar na sapnon ka mahal rakh
Thokar se bachana hai agar apni ana ko
dil mein na sahi apne labon par tu kanwal rakh
mat dekh 'alim' ahal-e-adawat ki safon ko
laDna hai to phir apne irade ko aTal rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.