ya-ali kah kar but-e-pindar toDa chahiye
yā-alī kah kar but-e-pindār toḌā chāhiye
nafs-e-ammāra kī gardan ko maroḌā chāhiye
tañg aa kar jism ko ai ruuh chhoḌā chāhiye
tifl-tabaoñ ke liye miTTī kā ghoḌā chāhiye
zulf ke saude meñ apne sar ko phoḌā chāhiye
jab balā kā sāmnā ho muñh na moḌā chāhiye
ghūrtī hai tum ko nargis aañkh phoḌā chāhiye
gul bahut hañste haiñ kaan un ke maroḌā chāhiye
āj-kal hotā hai apnā ishq-e-pinhāñ āshkār
pak chukā hai ḳhuub ab phūTe ye phoḌā chāhiye
māñgtā huuñ maiñ ḳhudā se apne dil se dāġh-e-ishq
bādshāh-e-husn ke sikke kā toḌā chāhiye
un laboñ ke ishq ne hai jaise dīvāna kiyā
baḌ apnī hai ik lāloñ kā joḌā chāhiye
de rahā hai gesu-e-mushkīn saude ko jagah
kis ke aage jā ke apne sar ko phoḌā chāhiye
bāda-e-gul-gūñ ke shīshe kā huuñ saa.il sāqiyā
saath kaifiyyat ke uḌtā mujh ko ghoḌā chāhiye
ye sadā aatī hai raftār-e-samand-e-umr se
vo bhī ghoḌā hai koī jis ko ki koḌā chāhiye
qat.a miqrāz-e-ḳhamoshī se zabāñ ko kījiye
qufl de kar ganj par miftāh toḌā chāhiye
apne dīvāne kā dil le kar ye kahtā hai vo tifl
ye khilaunā hai isī qābil ki toḌā chāhiye
zulfeñ rū-e-yār par be-vaj.h lahrātī nahīñ
kuchh na kuchh zahr agle ye kaale kā joḌā chāhiye
bāġhbāñ se chhup ke gul-chīnī jo kī to kyā kiyā
aañkh bulbul kī bachā kar phuul toḌā chāhiye
fasl-e-gul meñ beḌiyāñ kaaTī haiñ mere paañv kī
haath meñ haddād ke sone kā toḌā chāhiye
bāġh-e-ālam meñ yahī merī duā hai roz-o-shab
ḳhaar ḳhaar ishq-e-gul-e-ruḳhsār toḌā chāhiye
ishq kī mushkil-pasandī se huā ye āshkār
ḳhūbsūrat ko ġhurūr-e-husn thoḌā chāhiye
zamzame sun kar mire sayyād-e-gul-rū ne kahā
zab.h kiije aise bulbul ko na chhoḌā chāhiye
piir ho 'ātish' kafan kā sāmnā hai an-qarīb
tauba kiije dāman-e-tar ko nichoḌā chāhiye
ya-ali kah kar but-e-pindar toDa chahiye
nafs-e-ammara ki gardan ko maroDa chahiye
tang aa kar jism ko ai ruh chhoDa chahiye
tifl-tabaon ke liye miTTi ka ghoDa chahiye
zulf ke saude mein apne sar ko phoDa chahiye
jab bala ka samna ho munh na moDa chahiye
ghurti hai tum ko nargis aankh phoDa chahiye
gul bahut hanste hain kan un ke maroDa chahiye
aaj-kal hota hai apna ishq-e-pinhan aashkar
pak chuka hai KHub ab phuTe ye phoDa chahiye
mangta hun main KHuda se apne dil se dagh-e-ishq
baadshah-e-husn ke sikke ka toDa chahiye
un labon ke ishq ne hai jaise diwana kiya
baD apni hai ek lalon ka joDa chahiye
de raha hai gesu-e-mushkin saude ko jagah
kis ke aage ja ke apne sar ko phoDa chahiye
baada-e-gul-gun ke shishe ka hun sail saqiya
sath kaifiyyat ke uDta mujh ko ghoDa chahiye
ye sada aati hai raftar-e-samand-e-umr se
wo bhi ghoDa hai koi jis ko ki koDa chahiye
qata miqraaz-e-KHamoshi se zaban ko kijiye
qufl de kar ganj par miftah toDa chahiye
apne diwane ka dil le kar ye kahta hai wo tifl
ye khilauna hai isi qabil ki toDa chahiye
zulfen ru-e-yar par be-wajh lahraati nahin
kuchh na kuchh zahr agle ye kale ka joDa chahiye
baghban se chhup ke gul-chini jo ki to kya kiya
aankh bulbul ki bacha kar phul toDa chahiye
fasl-e-gul mein beDiyan kaTi hain mere panw ki
hath mein haddad ke sone ka toDa chahiye
bagh-e-alam mein yahi meri dua hai roz-o-shab
KHar KHar ishq-e-gul-e-ruKHsar toDa chahiye
ishq ki mushkil-pasandi se hua ye aashkar
KHubsurat ko ghurur-e-husn thoDa chahiye
zamzame sun kar mere sayyaad-e-gul-ru ne kaha
zabh kije aise bulbul ko na chhoDa chahiye
pir ho 'atish' kafan ka samna hai an-qarib
tauba kije daman-e-tar ko nichoDa chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.