ya dil ki suno duniya walo ya mujhko abhi chup rahne do
yā dil kī suno duniyā vaalo yā mujh ko abhī chup rahne do
maiñ ġham ko ḳhushī kaise kah duuñ jo kahte haiñ un ko kahne do
ye phuul chaman meñ kaisā khilā maalī kī nazar meñ pyaar nahīñ
hañste hue kyā kyā dekh liyā ab bahte haiñ aañsū bahne do
ik ḳhvāb ḳhushī kā dekhā nahīñ dekhā jo kabhī to bhuul ga.e
māñgā huā tum kuchh de na sake jo tum ne diyā vo sahne do
kyā dard kisī kā legā koī itnā to kisī meñ dard nahīñ
bahte hue aañsū aur baheñ ab aisī tasallī rahne do
ya dil ki suno duniya walo ya mujh ko abhi chup rahne do
main gham ko KHushi kaise kah dun jo kahte hain un ko kahne do
ye phul chaman mein kaisa khila mali ki nazar mein pyar nahin
hanste hue kya kya dekh liya ab bahte hain aansu bahne do
ek KHwab KHushi ka dekha nahin dekha jo kabhi to bhul gae
manga hua tum kuchh de na sake jo tum ne diya wo sahne do
kya dard kisi ka lega koi itna to kisi mein dard nahin
bahte hue aansu aur bahen ab aisi tasalli rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.