ya faqiri hai ya ki shahi hai
yā faqīrī hai yā ki shāhī hai
ishq meñ donoñ rū-siyāhī hai
is tarah us ko maut de yārab
zindagī merī jis ne chāhī hai
apnā dikhlā de gosha-e-dastār
gul ko da.avā-e-kaj-kulāhī hai
kyūñke us par na ai 'razā' mariye
ḳhūbsūrat aur sipāhī hai
ya faqiri hai ya ki shahi hai
ishq mein donon ru-siyahi hai
is tarah us ko maut de yarab
zindagi meri jis ne chahi hai
apna dikhla de gosha-e-dastar
gul ko dawa-e-kaj-kulahi hai
kyunke us par na ai 'raza' mariye
KHubsurat aur sipahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.