ya-ilahi mujhe wo tarz-e-lisani mil jae
yā-ilāhī mujhe vo tarz-e-lisānī mil jaa.e
qabl-e-guftār mire lafz ko ma.anī mil jaa.e
tū ne kitnoñ ke safīnoñ ko kināre baḳhshe
merī kashtī ko bhī ai bahr ravānī mil jaa.e
beshtar ham tirī yādoñ ko bhulā baiThe the
kyā kare koī jo tasvīr purānī mil jaa.e
ham musannif ke tasavvur meñ ghuTe jaate haiñ
apne kirdār ko ab koī kahānī mil jaa.e
dil to sahrā ke sarāboñ se bahal jaatā hai
tū nahīñ hai to tirī koī nishānī mil jaa.e
kar chukā ho tū gulistānoñ ko sairāb agar
ai falak bāñjh zamīnoñ ko bhī paanī mil jaa.e
soch ta.abīr ko Dar jaatā hai qalb-e-yūsuf
chashm-e-pīrī ko agar ḳhvāb-e-javānī mil jaa.e
ya-ilahi mujhe wo tarz-e-lisani mil jae
qabl-e-guftar mere lafz ko mani mil jae
tu ne kitnon ke safinon ko kinare baKHshe
meri kashti ko bhi ai bahr rawani mil jae
beshtar hum teri yaadon ko bhula baiThe the
kya kare koi jo taswir purani mil jae
hum musannif ke tasawwur mein ghuTe jate hain
apne kirdar ko ab koi kahani mil jae
dil to sahra ke sarabon se bahal jata hai
tu nahin hai to teri koi nishani mil jae
kar chuka ho tu gulistanon ko sairab agar
ai falak banjh zaminon ko bhi pani mil jae
soch tabir ko Dar jata hai qalb-e-yusuf
chashm-e-piri ko agar KHwab-e-jawani mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.