ya-ilahi murad bar aae
yā-ilāhī murād bar aa.e
aaj mehmān koī ghar aa.e
jo miTā de diloñ kī tārīkī
koī aisī bhī to sahar aa.e
is liye bhī bhalī hai be-ḳhabarī
kyā ḳhabar aaj kyā ḳhabar aa.e
ibtidā ho rahī hai jis kī abhī
yā-ḳhudā raas vo safar aa.e
kyoñ kare chaah phir vo manzil kī
jis ke hisse hasīñ Dagar aa.e
ya-ilahi murad bar aae
aaj mehman koi ghar aae
jo miTa de dilon ki tariki
koi aisi bhi to sahar aae
is liye bhi bhali hai be-KHabari
kya KHabar aaj kya KHabar aae
ibtida ho rahi hai jis ki abhi
ya-KHuda ras wo safar aae
kyon kare chah phir wo manzil ki
jis ke hisse hasin Dagar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.