ya-ilahi ye aarzu nikle
yā-ilāhī ye aarzū nikle
dam merā un ke rū-ba-rū nikle
DhūñDne jin ko kū-bakū nikle
vo mire ghar ke rū-ba-rū nikle
daad ai husn-e-intiḳhāb-e-nazar
vo tasavvur se ḳhūb-rū nikle
aap kā naqsh-e-pā rahā rahbar
jab bhī ham bahr-e-justujū nikle
ashk bahtā hai terī yādoñ meñ
baat hai aañkh se lahū nikle
shā.erī aur kyā 'muīn' kī hai
aap kī jaise guftugū nikle
ya-ilahi ye aarzu nikle
dam mera un ke ru-ba-ru nikle
DhunDne jin ko ku-baku nikle
wo mere ghar ke ru-ba-ru nikle
dad ai husn-e-intiKHab-e-nazar
wo tasawwur se KHub-ru nikle
aap ka naqsh-e-pa raha rahbar
jab bhi hum bahr-e-justuju nikle
ashk bahta hai teri yaadon mein
baat hai aankh se lahu nikle
shaeri aur kya 'muin' ki hai
aap ki jaise guftugu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.