ya KHuda kuchh to dard kam kar de
yā ḳhudā kuchh to dard kam kar de
yā judā mujh se merā ġham kar de
baḌh rahī dūriyoñ ko kam kar de
aur is maiñ ko aaj ham kar de
sajda karte raheñ qayāmat tak
chāhe tū sar mirā qalam kar de
kaash qismat meñ chhat mayassar ho
maulā mere zarā karam kar de
mere ḳhvāboñ kā aa.ina tum ho
rishte ko dil se mohtaram kar de
tum se hī to juḌe haiñ rishte mire
mil ke is ko janam janam kar de
ya KHuda kuchh to dard kam kar de
ya juda mujh se mera gham kar de
baDh rahi duriyon ko kam kar de
aur is main ko aaj hum kar de
sajda karte rahen qayamat tak
chahe tu sar mera qalam kar de
kash qismat mein chhat mayassar ho
maula mere zara karam kar de
mere KHwabon ka aaina tum ho
rishte ko dil se mohtaram kar de
tum se hi to juDe hain rishte mere
mil ke is ko janam janam kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.