ya mila qaum ko KHud apna nigahban ho kar
yā milā qaum ko ḳhud apnā nigahbāñ ho kar
sau tarah dekh liyā ham ne pareshāñ ho kar
kāfir-e-'ishq hī achchhe the sanam-ḳhānoñ meñ
shān-e-īmāñ na milī sāhab-e-īmāñ ho kar
naqs-e-tanzīm se ho tark-e-chaman kyā mā'nī
ham ko rahnā hai yahīñ tār-e-rag-e-jāñ ho kar
kyā huā gar koī hindū ki musalmāñ Thahrā
ādmiyyat kā nahīñ paas jo insāñ ho kar
ham bujheñ bhī to bujheñ misl-e-charāġh-e-saharī
aur jo raushan hoñ to hoñ sham-e-shabistāñ ho kar
dil meñ ahbāb ke ham ban ke asar baiTheñge
aur uTheñge isī gulshan se bahārāñ ho kar
kyā gulistāñ meñ nayā hukm-e-zabāñ-bandī hai
bāġhbāñ bhī huā sayyād-e-nigahbāñ ho kar
sidq niyyat se agar us kī chaman-bandī ho
phir rahe kyuuñ na vatan mulk-e-sulemāñ ho kar
ab ham apne liye ḳhud sūd-o-ziyāñ socheñge
ham ko jiinā hī nahīñ banda-e-ehsāñ ho kar
rashk-e-gulzār-e-iram arz-e-vatan jab hogī
apne begāne baseñ sumbul-o-raihāñ ho kar
ya mila qaum ko KHud apna nigahban ho kar
sau tarah dekh liya hum ne pareshan ho kar
kafir-e-'ishq hi achchhe the sanam-KHanon mein
shan-e-iman na mili sahab-e-iman ho kar
naqs-e-tanzim se ho tark-e-chaman kya ma'ni
hum ko rahna hai yahin tar-e-rag-e-jaan ho kar
kya hua gar koi hindu ki musalman Thahra
aadmiyyat ka nahin pas jo insan ho kar
hum bujhen bhi to bujhen misl-e-charagh-e-sahari
aur jo raushan hon to hon sham-e-shabistan ho kar
dil mein ahbab ke hum ban ke asar baiThenge
aur uThenge isi gulshan se bahaaran ho kar
kya gulistan mein naya hukm-e-zaban-bandi hai
baghban bhi hua sayyaad-e-nigahban ho kar
sidq niyyat se agar us ki chaman-bandi ho
phir rahe kyun na watan mulk-e-suleman ho kar
ab hum apne liye KHud sud-o-ziyan sochenge
hum ko jina hi nahin banda-e-ehsan ho kar
rashk-e-gulzar-e-iram arz-e-watan jab hogi
apne begane basen sumbul-o-raihan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.