ya phir tum KHwabon ke zariye aa jaana
ya phir tum KHwabon ke zariye aa jaana
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
yā phir tum ḳhvāboñ ke zarīye aa jaanā
jaise bhī ho lekin milne aa jaanā
thoḌī der meñ duniyā aane vaalī hai
tum duniyā se thoḌā pahle aa jaanā
ab maiñ apnī zaat meñ baTne vaalā huuñ
tum chāho to dil ke hisse aa jaanā
mujh se milne kā jab bhī jī chāhe to
bin kuchh samjhe bin kuchh soche aa jaanā
maiñ tum se kuchh duur hī huuñ gar chāho to
merī jānib ghūmte-phirte aa jaanā
us se laḌ kar is ko satāne kā man hai
vaqt pe ai kam-zarf irāde aa jaanā
terā rasta kitnā pechīda niklā
tū bolā thā sīdhe sīdhe aa jaanā
ya phir tum KHwabon ke zariye aa jaana
jaise bhi ho lekin milne aa jaana
thoDi der mein duniya aane wali hai
tum duniya se thoDa pahle aa jaana
ab main apni zat mein baTne wala hun
tum chaho to dil ke hisse aa jaana
mujh se milne ka jab bhi ji chahe to
bin kuchh samjhe bin kuchh soche aa jaana
main tum se kuchh dur hi hun gar chaho to
meri jaanib ghumte-phirte aa jaana
us se laD kar is ko satane ka man hai
waqt pe ai kam-zarf irade aa jaana
tera rasta kitna pechida nikla
tu bola tha sidhe sidhe aa jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.