ya-rab kabhi qubul meri ye dua bhi ho
yā-rab kabhī qubūl mirī ye duā bhī ho
tū ne badan diyā hai badan par qabā bhī ho
baiThe haiñ dil meñ le ke bulandī kī aarzū
lekin hamāre ḳhuun meñ paidā humā bhī ho
tīra-shabī kā raaz samajh pā.egā vahī
jo āftāb ho ke kahīñ par bujhā bhī ho
maġhrūriyat kī had ko kahīñ vo na jā lage
har aadmī meñ hasb-e-zarūrat anā bhī ho
sahrā meñ raqs karne se kuchh fā.eda nahīñ
ai abr aa idhar ki ye jangal harā bhī ho
ya-rab kabhi qubul meri ye dua bhi ho
tu ne badan diya hai badan par qaba bhi ho
baiThe hain dil mein le ke bulandi ki aarzu
lekin hamare KHun mein paida huma bhi ho
tira-shabi ka raaz samajh paega wahi
jo aaftab ho ke kahin par bujha bhi ho
maghruriyat ki had ko kahin wo na ja lage
har aadmi mein hasb-e-zarurat ana bhi ho
sahra mein raqs karne se kuchh faeda nahin
ai abr aa idhar ki ye jangal hara bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.