ya-rab mere mazi ka KHasara mujhe mil jae
yā-rab mire maazī kā ḳhasāra mujhe mil jaa.e
khoī thī mohabbat jo dubāra mujhe mil jaa.e
jo 'ishq ke qaidī haiñ rihā.ī unheñ dūñgā
duniyā pe kisī din jo ijāra mujhe mil jaa.e
sab chhoḌne ko aaj bhī tayyār khaḌā huuñ
us samt se bas ek ishāra mujhe mil jaa.e
us aañkh kā mai-ḳhāne meñ jab zikr chhiḌā to
har rind ne mahfil meñ pukārā mujhe mil jaa.e
sardī hai december bhī hai mausam bhī hasīñ hai
aise meñ agar saath tumhārā mujhe mil jaa.e
duniyā ko maiñ pā kar ye du'ā maañg rahā huuñ
vo shaḳhs jo duniyā pe thā vaarā mujhe mil jaa.e
kyā aañkh hai kyā gaal haiñ kyā zulf hai kyā lab
ai kaash ki vo saare kā saarā mujhe mil jaa.e
ya-rab mere mazi ka KHasara mujhe mil jae
khoi thi mohabbat jo dubara mujhe mil jae
jo 'ishq ke qaidi hain rihai unhen dunga
duniya pe kisi din jo ijara mujhe mil jae
sab chhoDne ko aaj bhi tayyar khaDa hun
us samt se bas ek ishaara mujhe mil jae
us aankh ka mai-KHane mein jab zikr chhiDa to
har rind ne mahfil mein pukara mujhe mil jae
sardi hai december bhi hai mausam bhi hasin hai
aise mein agar sath tumhaara mujhe mil jae
duniya ko main pa kar ye du'a mang raha hun
wo shaKHs jo duniya pe tha wara mujhe mil jae
kya aankh hai kya gal hain kya zulf hai kya lab
ai kash ki wo sare ka sara mujhe mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.