ya rab na hind hi mein ye maTi KHarab ho
yā rab na hind hī meñ ye maaTī ḳharāb ho
jā kar najaf meñ ḳhāk-e-dar-e-bū-turāb ho
saaya kare vo lutf se saaya jise na thā
jis vaqt roz-e-hashr meñ garm āftāb ho
hāsil ho is nafs ko sifat mutma.inna kī
pesh is se irja.ī kā udhar se ḳhitāb ho
jab chashm bastagī ho mujhe is jahān meñ
āñkhoñ ke sāmne vahī ālī-janāb ho
ai yaar yaañ to muñh na dikhāyā kabhū hameñ
aisā na ho ki vaañ bhī 'bayāñ' se hijāb ho
ya rab na hind hi mein ye maTi KHarab ho
ja kar najaf mein KHak-e-dar-e-bu-turab ho
saya kare wo lutf se saya jise na tha
jis waqt roz-e-hashr mein garm aaftab ho
hasil ho is nafs ko sifat mutmainna ki
pesh is se irjai ka udhar se KHitab ho
jab chashm bastagi ho mujhe is jahan mein
aankhon ke samne wahi aali-janab ho
ai yar yan to munh na dikhaya kabhu hamein
aisa na ho ki wan bhi 'bayan' se hijab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.