ya sabr ho hamin ko us tarf jo na niklen
yā sabr ho hamīñ ko us tarf jo na nikleñ
yā apne ghar se ban ban ye ḳhūb-rū na nikleñ
hotī nahīñ tasallī dil ko hamāre jab tak
do-chār baar us ke kūcha se ho na nikleñ
dil DhūñDhne chale haiñ kūche meñ tere apnā
Darte haiñ aap ko bhī ham vaañ se kho na nikleñ
koī bhī din na guzrā aisā ki us galī se
zaḳhmī ho mubtalā ho jo ek do na nikleñ
dil aur jigar lahū ho āñkhoñ talak to pahuñche
kyā hukm hai ab aage nikleñ kaho na nikleñ
bastī meñ to dil apnā lagtā nahīñ kaho phir
sahrā kī tarf kyūñkar ai nāseho na nikleñ
gar vo naqāb uThā de chehre se to 'hasan' phir
kuchh ġham nahīñ mah-o-mehr aalam meñ go na nikleñ
ya sabr ho hamin ko us tarf jo na niklen
ya apne ghar se ban ban ye KHub-ru na niklen
hoti nahin tasalli dil ko hamare jab tak
do-chaar bar us ke kucha se ho na niklen
dil DhunDhne chale hain kuche mein tere apna
Darte hain aap ko bhi hum wan se kho na niklen
koi bhi din na guzra aisa ki us gali se
zaKHmi ho mubtala ho jo ek do na niklen
dil aur jigar lahu ho aankhon talak to pahunche
kya hukm hai ab aage niklen kaho na niklen
basti mein to dil apna lagta nahin kaho phir
sahra ki tarf kyunkar ai naseho na niklen
gar wo naqab uTha de chehre se to 'hasan' phir
kuchh gham nahin mah-o-mehr aalam mein go na niklen
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.