ya teri aarzu sa ho jaun
yā tirī aarzū sā ho jā.ūñ
yā tirī aarzū kā ho jā.ūñ
mire kānoñ meñ jo tū kun kah de
maiñ tasavvur sā tirā ho jā.ūñ
mujh se ik baar zarā mil aise
maiñ tire ghar kā pata ho jā.ūñ
tū bhī aa jaanā kahīñ rakh ke badan
jism se maiñ bhī judā ho jā.ūñ
toḌ kar maaTī ye merī phir se
yuuñ banāo ki nayā ho jā.ūñ
ishq kī rasm yahī hai baaqī
maiñ bhī ik baar ḳhafā ho jā.ūñ
āshnā.ī hai suḳhan-goī bhī
aur kitnā maiñ burā ho jā.ūñ
ya teri aarzu sa ho jaun
ya teri aarzu ka ho jaun
mere kanon mein jo tu kun kah de
main tasawwur sa tera ho jaun
mujh se ek bar zara mil aise
main tere ghar ka pata ho jaun
tu bhi aa jaana kahin rakh ke badan
jism se main bhi juda ho jaun
toD kar maTi ye meri phir se
yun banao ki naya ho jaun
ishq ki rasm yahi hai baqi
main bhi ek bar KHafa ho jaun
aashnai hai suKHan-goi bhi
aur kitna main bura ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.