ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun
ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
yā to vo qurb thā yā duur huā jaatā huuñ
ab to apne se bhī mastūr huā jaatā huuñ
sho.ala-e-ishq vo sho.ala hai ki allāh allāh
sadqe is naar ke maiñ nuur huā jaatā huuñ
ālam-e-jabr meñ quvvat kā taḳhayyul thā bahut
ab vo quvvat hai ki majbūr huā jaatā huuñ
ishq kī raah meñ manzil koī khoī hī nahīñ
kyā ḳhabar paas huuñ yā duur huā jaatā huuñ
kis ko samjhā.ūñ tajalli-e-tabassum kā faroġh
barq ye vo hai ki maiñ tuur huā jaatā huuñ
terā har ġham hai tarab-ḳhez tire ġham kī qasam
shiddat-e-dard se masrūr huā jaatā huuñ
kah do tayyār kareñ dār-o-rasan phir se 'bashīr'
ālam-e-kaif maiñ mansūr huā jaatā huuñ
ya to wo qurb tha ya dur hua jata hun
ab to apne se bhi mastur hua jata hun
shoala-e-ishq wo shoala hai ki allah allah
sadqe is nar ke main nur hua jata hun
aalam-e-jabr mein quwwat ka taKHayyul tha bahut
ab wo quwwat hai ki majbur hua jata hun
ishq ki rah mein manzil koi khoi hi nahin
kya KHabar pas hun ya dur hua jata hun
kis ko samjhaun tajalli-e-tabassum ka farogh
barq ye wo hai ki main tur hua jata hun
tera har gham hai tarab-KHez tere gham ki qasam
shiddat-e-dard se masrur hua jata hun
kah do tayyar karen dar-o-rasan phir se 'bashir'
aalam-e-kaif main mansur hua jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.