ya wasl mein rakhiye mujhe ya apni hawas mein
ya wasl mein rakhiye mujhe ya apni hawas mein
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
yā vasl meñ rakhiye mujhe yā apnī havas meñ
jo chāhiye so kījiye huuñ aap ke bas meñ
ye jā-e-tarahhum hai agar samjhe tū sayyād
maiñ aur phañsūñ is tarah is kunj-e-qafas meñ
aatī hai nazar us kī tajallī hameñ zāhid
har chiiz meñ har sañg meñ har ḳhaar meñ ḳhas meñ
har raat machāte phireñ haiñ shauq se dhūmeñ
ye mast-e-mai-e-ishq haiñ kab ḳhauf-e-asas meñ
kyā pūchhte ho umr kaTī kis tarah apnī
juz dard na dekhā kabhū is tiis baras meñ
har baat meñ ye jaldī hai har nukte meñ isrār
duniyā se nirālī haiñ ġharaz terī to rasmeñ
dushman ko tire gāḌūñ maiñ ai jān-e-jahāñ bas
tū mujh ko dilāyā na kar is taur kī qasmeñ
'inshā' tire gar gosh asam hoñ na to aave
āvāz tire yaar kī har bāñg-e-jaras meñ
ya wasl mein rakhiye mujhe ya apni hawas mein
jo chahiye so kijiye hun aap ke bas mein
ye ja-e-tarahhum hai agar samjhe tu sayyaad
main aur phansun is tarah is kunj-e-qafas mein
aati hai nazar us ki tajalli hamein zahid
har chiz mein har sang mein har KHar mein KHas mein
har raat machate phiren hain shauq se dhumen
ye mast-e-mai-e-ishq hain kab KHauf-e-asas mein
kya puchhte ho umr kaTi kis tarah apni
juz dard na dekha kabhu is tis baras mein
har baat mein ye jaldi hai har nukte mein israr
duniya se nirali hain gharaz teri to rasmen
dushman ko tere gaDun main ai jaan-e-jahan bas
tu mujh ko dilaya na kar is taur ki qasmen
'insha' tere gar gosh asam hon na to aawe
aawaz tere yar ki har bang-e-jaras mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.