Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aa kar hijr mein taDpa gai achchha hua

Prem Lal Shifa Dehlvi

yaad aa kar hijr mein taDpa gai achchha hua

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    yaad aa kar hijr meñ taḌpā ga.ī achchhā huā

    ye bhī aanī thī musībat aa ga.ī achchhā huā

    jaur par un ko hameñ apnī vafā par naaz thā

    baat baḌh kar imtihāñ tak aa ga.ī achchhā huā

    dil ko ham taskīn kyā dete vo kis māntā

    vo nazar ḳhud us ko kuchh samjhā ga.ī achchhā huā

    phuul ban kar bhī na mil saktī thī umr-e-jāvedāñ

    bin khile dil kalī murjhā ga.ī achchhā huā

    chaar tinkoñ ke sivā kuchh āshiyāne meñ na thā

    barq ab kunj-e-qafas tak aa ga.ī achchhā huā

    har ḳhushī ke saath vābasta the ranj-o-fikr bhī

    jald un se zindagī uktā ga.ī achchhā huā

    tark-e-duniyā hai 'shifā' apnā maqām-e-zindagī

    chaar din duniyā hameñ bahlā ga.ī achchhā huā

    yaad aa kar hijr mein taDpa gai achchha hua

    ye bhi aani thi musibat aa gai achchha hua

    jaur par un ko hamein apni wafa par naz tha

    baat baDh kar imtihan tak aa gai achchha hua

    dil ko hum taskin kya dete wo kis ki manta

    wo nazar KHud us ko kuchh samjha gai achchha hua

    phul ban kar bhi na mil sakti thi umr-e-jawedan

    bin khile dil ki kali murjha gai achchha hua

    chaar tinkon ke siwa kuchh aashiyane mein na tha

    barq ab kunj-e-qafas tak aa gai achchha hua

    har KHushi ke sath wabasta the ranj-o-fikr bhi

    jald un se zindagi ukta gai achchha hua

    tark-e-duniya hai 'shifa' apna maqam-e-zindagi

    chaar din duniya hamein bahla gai achchha hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now