yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dildar bahut
yaad aa.e haiñ ahd-e-junūñ ke kho.e hue dildār bahut
un se duur basā.ī bastī jin se hameñ thā pyaar bahut
ek ik kar ke khilī thiiñ kaliyāñ ek ik kar ke phuul ga.e
ek ik kar ke ham se bichhḌe bāġh-e-jahāñ meñ yaar bahut
husn ke jalve aam haiñ lekin zauq-e-nazāra aam nahīñ
ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke da.avedār bahut
zaḳhm kaho yā khiltī kaliyāñ haath magar guldasta hai
bāġh-e-vafā se ham ne chune haiñ phuul bahut aur ḳhaar bahut
jo bhī milā hai le aa.e haiñ dāġh-e-dil yā dāġh-e-jigar
vaadī vaadī manzil manzil bhaTke haiñ 'sardār' bahut
yaad aae hain ahd-e-junun ke khoe hue dildar bahut
un se dur basai basti jin se hamein tha pyar bahut
ek ek kar ke khili thin kaliyan ek ek kar ke phul gae
ek ek kar ke hum se bichhDe bagh-e-jahan mein yar bahut
husn ke jalwe aam hain lekin zauq-e-nazara aam nahin
ishq bahut mushkil hai lekin ishq ke dawedar bahut
zaKHm kaho ya khilti kaliyan hath magar guldasta hai
bagh-e-wafa se hum ne chune hain phul bahut aur KHar bahut
jo bhi mila hai le aae hain dagh-e-dil ya dagh-e-jigar
wadi wadi manzil manzil bhaTke hain 'sardar' bahut
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 235)
- Author : Ali Ahmad Fatmi
- Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.