yaad aaegi unhen meri wafa mere baad
yaad aa.egī unheñ merī vafā mere baad
narm goshe unheñ baḳhshegā ḳhudā mere baad
mujh se ābād thī duniyā-e-mohabbat ai dost
har taraf ho ga.ī tārīk fazā mere baad
mahkī mahkī huī rahtī thī har ik phulvārī
baaġh meñ aatī nahīñ bād-e-sabā mere baad
ġhairat-e-husn hai baaqī na hijāb āñkhoñ meñ
khīñch lī kis ne saroñ se ye ridā mere baad
najd vīrān huā qais ke mar jaane se
dasht meñ koī nahīñ ābla-pā mere baad
juuhī bhī khiltī thī āñgan meñ mahakte the gulāb
suunī suunī huī hai ghar kī fazā mere baad
bhuul jā.egā vo sab jabr-o-sitam apne 'jamāl'
vaqt degā use kuchh aisī sazā mere baad
yaad aaegi unhen meri wafa mere baad
narm goshe unhen baKHshega KHuda mere baad
mujh se aabaad thi duniya-e-mohabbat ai dost
har taraf ho gai tarik faza mere baad
mahki mahki hui rahti thi har ek phulwari
bagh mein aati nahin baad-e-saba mere baad
ghairat-e-husn hai baqi na hijab aankhon mein
khinch li kis ne saron se ye rida mere baad
najd viran hua qais ke mar jaane se
dasht mein koi nahin aabla-pa mere baad
juhi bhi khilti thi aangan mein mahakte the gulab
suni suni hui hai ghar ki faza mere baad
bhul jaega wo sab jabr-o-sitam apne 'jamal'
waqt dega use kuchh aisi saza mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.