yaad aai ek bhuli hui baat der tak
yaad aa.ī ek bhūlī huī baat der tak
dil kā 'ajīb haal rahā raat der tak
tanhā paḌe taḌapnā vo ik kunj-e-dard meñ
piinā vo zahr-e-talḳhī-e-lamhāt der tak
mumkin na thī jo baat vahī baat sochnā
jalnā ba-soz-e-shauq-e-mulāqāt der tak
iz.hār-e-karb-e-zīst ke pairā.e DhūñDhnā
karnā raqam ḳharābī-e-hālāt der tak
rakhnā vo ik ḳhayāl kā sahrā-e-jabr meñ
āvāra-e-sarāb-e-munājāt der tak
koī 'ajab tarah ke vo din the ġharaz 'bashīr'
kī hai 'ajab tarah basar-auqāt der tak
yaad aai ek bhuli hui baat der tak
dil ka 'ajib haal raha raat der tak
tanha paDe taDapna wo ek kunj-e-dard mein
pina wo zahr-e-talKHi-e-lamhat der tak
mumkin na thi jo baat wahi baat sochna
jalna ba-soz-e-shauq-e-mulaqat der tak
izhaar-e-karb-e-zist ke pairae DhunDhna
karna raqam KHarabi-e-haalat der tak
rakhna wo ek KHayal ka sahra-e-jabr mein
aawara-e-sarab-e-munajat der tak
koi 'ajab tarah ke wo din the gharaz 'bashir'
ki hai 'ajab tarah basar-auqat der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.