yaad aai hai teri saKHt maqam aaya hai
yaad aa.ī hai tirī saḳht maqām aayā hai
dil ke sahrā meñ ye vaqt-e-sar-e-shām aayā hai
ik na.e rang meñ aaj un kā payām aayā hai
ārzūoñ ke liye nām-ba-nām aayā hai
jāñ-ba-lab shauq ke sajde bhī taḌap uTThe haiñ
un ke andāz-e-taġhāful ko salām aayā hai
mere ġham-ḳhāna ke andoh ḳhamoshī kā harīf
kaisī begāna mizājī kā kalām aayā hai
hil rahī hai mire zindān-e-junūñ kī dīvār
phir tasavvur meñ tirā jalva-e-bām aayā hai
anjuman-sāz hai ye rāz-e-mohabbat ai dost
zikr jab aayā tirā bar-sar-e-ām aayā hai
dil-e-betāb kī hasrat ne bikhere sajde
majlis-e-ġhair meñ bhī terā jo naam aayā hai
chashm-e-sāqī meñ jhalaktī hai mirī laġhzish-e-shauq
kāñpte haath se lab tak abhī jaam aayā hai
'aql ko josh-e-junūñ dār-o-rasan tak laayā
'aql vāloñ ke kabhī hosh bhī kaam aayā hai
terī sarkār meñ 'aḳhtar' kī du'ā.eñ giryāñ
dil kā kashkol liye terā ġhulām aayā hai
yaad aai hai teri saKHt maqam aaya hai
dil ke sahra mein ye waqt-e-sar-e-sham aaya hai
ek nae rang mein aaj un ka payam aaya hai
aarzuon ke liye nam-ba-nam aaya hai
jaan-ba-lab shauq ke sajde bhi taDap uTThe hain
un ke andaz-e-taghaful ko salam aaya hai
mere gham-KHana ke andoh KHamoshi ka harif
kaisi begana mizaji ka kalam aaya hai
hil rahi hai mere zindan-e-junun ki diwar
phir tasawwur mein tera jalwa-e-baam aaya hai
anjuman-saz hai ye raaz-e-mohabbat ai dost
zikr jab aaya tera bar-sar-e-am aaya hai
dil-e-betab ki hasrat ne bikhere sajde
majlis-e-ghair mein bhi tera jo nam aaya hai
chashm-e-saqi mein jhalakti hai meri laghzish-e-shauq
kanpte hath se lab tak abhi jam aaya hai
'aql ko josh-e-junun dar-o-rasan tak laya
'aql walon ke kabhi hosh bhi kaam aaya hai
teri sarkar mein 'aKHtar' ki du'aen giryan
dil ka kashkol liye tera ghulam aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.