yaad aai wo zulf-e-pareshan
yaad aa.ī vo zulf-e-pareshāñ
kaT jā.egī ab shab-e-hijrāñ
mere ba.ad ai jalva-e-jānāñ
kaun karegā dāvat-e-mizhgāñ
terā gila kyā gesū-e-jānāñ
maiñ bhī pareshāñ tū bhī pareshāñ
kis ne dekhā zaḳhm guloñ kā
karte rahe sab sair-e-gulistāñ
dekh qafas meñ aag lagī hai
abr-e-bahārāñ abr-e-bahārāñ
apnī jafā par apnī vafā par
vo bhī pashemāñ ham bhī pashemāñ
ek jigar ke daaġh se raushan
terā shabistāñ merā shabistāñ
mar kar jiinā tū ne sikhāyā
ai ġham-e-jānāñ ai ġham-e-jānāñ
yaad aai wo zulf-e-pareshan
kaT jaegi ab shab-e-hijran
mere baad ai jalwa-e-jaanan
kaun karega dawat-e-mizhgan
tera gila kya gesu-e-jaanan
main bhi pareshan tu bhi pareshan
kis ne dekha zaKHm gulon ka
karte rahe sab sair-e-gulistan
dekh qafas mein aag lagi hai
abr-e-bahaaran abr-e-bahaaran
apni jafa par apni wafa par
wo bhi pasheman hum bhi pasheman
ek jigar ke dagh se raushan
tera shabistan mera shabistan
mar kar jina tu ne sikhaya
ai gham-e-jaanan ai gham-e-jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.