yaad aata hai ki KHud ko naujawan samjha tha main
yaad aatā hai ki ḳhud ko naujavāñ samjhā thā maiñ
is tilism-e-rang-o-bū ko gulsitāñ samjhā thā maiñ
haañ use faḳhr-e-hasīnān-e-jahāñ samjhā thā maiñ
us kā milnā hāsil-e-kaun-o-makāñ samjhā thā maiñ
us sanam ko ḳhud pe jab tak mehrbāñ samjhā thā maiñ
us ke atvār-e-sitam ko shoḳhiyāñ samjhā thā maiñ
un kī nazroñ meñ nihāñ jo bijliyāñ samjhā thā maiñ
har adā ko iltifāt-e-be-karāñ samjhā thā maiñ
mere chehre se numāyāñ thā fishār-e-zabt-e-ġham
aah ko bhī shikva-e-jaur-e-butāñ samjhā thā maiñ
rafta rafta us ne baḌh kar mere dil ko ḳhuuñ kiyā
jis ḳhalish meñ lazzat-e-paiham nihāñ samjhā thā maiñ
husn-e-fānī gar nahīñ ishq-e-majāzī bhī nahīñ
chand-roza shai thī jis ko jāvedāñ samjhā thā
dā.imī furqat ne 'āġhā' merī āñkheñ khol diiñ
ik jahannum hai jise bāġh-e-jināñ samjhā thā maiñ
yaad aata hai ki KHud ko naujawan samjha tha main
is tilism-e-rang-o-bu ko gulsitan samjha tha main
han use faKHr-e-hasinan-e-jahan samjha tha main
us ka milna hasil-e-kaun-o-makan samjha tha main
us sanam ko KHud pe jab tak mehrban samjha tha main
us ke atwar-e-sitam ko shoKHiyan samjha tha main
un ki nazron mein nihan jo bijliyan samjha tha main
har ada ko iltifat-e-be-karan samjha tha main
mere chehre se numayan tha fishaar-e-zabt-e-gham
aah ko bhi shikwa-e-jaur-e-butan samjha tha main
rafta rafta us ne baDh kar mere dil ko KHun kiya
jis KHalish mein lazzat-e-paiham nihan samjha tha main
husn-e-fani gar nahin ishq-e-majazi bhi nahin
chand-roza shai thi jis ko jawedan samjha tha
daimi furqat ne 'agha' meri aankhen khol din
ek jahannum hai jise bagh-e-jinan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.