yaad aata hai saman mujhko KHud-arai ka
yaad aatā hai samāñ mujh ko ḳhud-ārā.ī kā
chāñdnī raat meñ aalam tirī añgḌā.ī kā
aa.ina ā.ina-rūyoñ ko ye detā hai sabaq
kuchh samajh buujh ke da.avā karo yaktā.ī kā
aur bhī josh baḌhā ho ga.iiñ maujeñ be-tāb
aks dariyā meñ paḌā jab tirī añgḌā.ī kā
mere dil meñ mirī āñkhoñ meñ haiñ terī shakleñ
zeb detā nahīñ da.avā tujhe yaktā.ī kā
dil huā zer-o-zabar aah bhī ham kar na sake
rah ga.e dekh ke naqsha tirī añgḌā.ī kā
yaad aata hai saman mujh ko KHud-arai ka
chandni raat mein aalam teri angDai ka
aaina aaina-ruyon ko ye deta hai sabaq
kuchh samajh bujh ke dawa karo yaktai ka
aur bhi josh baDha ho gain maujen be-tab
aks dariya mein paDa jab teri angDai ka
mere dil mein meri aankhon mein hain teri shaklen
zeb deta nahin dawa tujhe yaktai ka
dil hua zer-o-zabar aah bhi hum kar na sake
rah gae dekh ke naqsha teri angDai ka
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 127)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.