yaad aatā rahe to achchhā hai
zaḳhm taaza rahe to achchhā hai
ek dhokā hai donoñ jānib se
par ye chaltā rahe to achchhā hai
varna kuchh aur rāste bhī haiñ
koī achchhā rahe to achchhā hai
online rahe massanger par
dil dhaḌaktā rahe to achchhā hai
varna ham se burā nahīñ koī
vo hamārā rahe to achchhā hai
roz aatā rahe vo khiḌkī meñ
kaam chaltā rahe to achchhā hai
aatā jaatā rahe vo chhuTTiyoñ meñ
gaañv mahkā rahe to achchhā hai
zaḳhm ristā rahe to behtar hai
sher hotā rahe to achchhā hai
ek dhokā sahī tirā honā
par ye dhokā rahe to achchhā hai
yaad aata rahe to achchha hai
zaKHm taza rahe to achchha hai
ek dhoka hai donon jaanib se
par ye chalta rahe to achchha hai
warna kuchh aur raste bhi hain
koi achchha rahe to achchha hai
online rahe massanger par
dil dhaDakta rahe to achchha hai
warna hum se bura nahin koi
wo hamara rahe to achchha hai
roz aata rahe wo khiDki mein
kaam chalta rahe to achchha hai
aata jata rahe wo chhuTTiyon mein
ganw mahka rahe to achchha hai
zaKHm rista rahe to behtar hai
sher hota rahe to achchha hai
ek dhoka sahi tera hona
par ye dhoka rahe to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.