yaad aate gae bhulane se
yaad aate ga.e bhulāne se
dard baḌhtā gayā dabāne se
raaz ifshā huā chhupāne se
ḳhāmushī kam na thī fasāne se
maiñ ne minnat bhī kī magar tum to
baaz aa.e na dil dukhāne se
kuchh muqaddar hī nā-rasā paayā
mujh ko shikva nahīñ zamāne se
merī qismat meñ jo ho saaf kaho
kaam chaltā nahīñ bahāne se
koī dard-āshnā nahīñ miltā
kyā vafā uTh ga.ī zamāne se
un ko pā kar bhī kuchh nahīñ paayā
baaz aa.e ham aise paane se
ham ko miTnā thā un pe ai 'sāhir'
miT ga.e ham kisī bahāne se
yaad aate gae bhulane se
dard baDhta gaya dabane se
raaz ifsha hua chhupane se
KHamushi kam na thi fasane se
main ne minnat bhi ki magar tum to
baz aae na dil dukhane se
kuchh muqaddar hi na-rasa paya
mujh ko shikwa nahin zamane se
meri qismat mein jo ho saf kaho
kaam chalta nahin bahane se
koi dard-ashna nahin milta
kya wafa uTh gai zamane se
un ko pa kar bhi kuchh nahin paya
baz aae hum aise pane se
hum ko miTna tha un pe ai 'sahir'
miT gae hum kisi bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.